Thodi shayari aur ek nazm; from a bilingual poet


Deewanagee (Oct 1, 2005) 


Teri inkaar ko lekar jee nahi paata
 
Is deewangee ko mita bhi nahi paata

Shaytaan sar par sawaar ho na jaaye

Kahin khuda par se mera yakeen utth na jaaye!

 

Izhaar (oct 1, 2005) 


Ehsaas Ishq ka unko nahi dikha

Haal-e-dil main unko bayaan na kar saka

Izhaar-e-chahat kagaz pe toh likha

Kambakht! Woh kagaz hi un tak pahuncha na saka!

 

Tanhaiyee (oct 1, 2005)

 
Tanhaiyee zaalim ne peecha hi kab choda

Sambhala tha mujhko, jab haar mein apno ne saath choda

Kamyabi ki bulandiyon par aaj itna uncha pahunch gaya

Ki tanhaiyee ki kasam, aaj bhi akela hi reh gaya!

 

Khuda mere dil mein hai (oct1, 2005)

 
Woh mandir mein hai toh mandir pavitra hai

Woh masjid mein hai toh masjid paak hai

Woh mere dil mein hai aur main uska diya shareer hoon

Usko agar nahi manta, toh main kaafir hoon

 
Insaan hoon main, us jaisa banna chahta hoon

Sunta hoon main sirf apne dil ki hi rehta

Bewakoof hoon main, ki samajh na paata hoon

Aakhir mere dil mein wohi toh hai rehta!

******** Ratish 

No comments:

Post a Comment

Comments are subject to review before publishing.